> Ab anzaam-e-mohabbat kya hoga ? (Ghazal)

>> Ab anzaam-e-mohabbat kya hoga <<
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
mujhpar aur ilzaam-e-mohabbat kya hoga
Suroor bhara jaam-e-mohabbat kya hoga
.
har ghazal me maiN likhata huN tujhko
aur mera paigaam-e-mohabbat kya hoga
.
har waQt tere sajde me huN main pada
is se bada salaam-e-mohabbat kya hoga
.
Ikarar toh kar liya humne mohabbat ka
jane ab Anzaam-e-mohabbat kya hoga
.
chal nikale sang tere hum nayi subah ko
kaun jane Shaam-e-mohabbat kya hoga
.
yuh ghur-ghur dekh rahe yeh duniya wale
jane ab apna Naam-e-mohabbat kya hoga
.
tay karliya hai katooN ka safar, par jane
ab agla ikhtehaam-e-mohabbat kya hoga
.
[ikhtehaam = imtihaan]
.
lamba hai yeh safar, tedi-medi hai dagar
kaun jane mukaam-e-mohabbat kya hoga
.
joh rakh sake zinda teri-meri yeh kahani
OMi; jane woh Qalaam-e-mohabbat kya hoga
.
Meri Apni Qalam se – OMi
Related posts:
- >> mohabbat ka paigaam likh raha huN..( Ghazal )
- > bayaN-e-husN uss QatiL kaa… (LOVE)
- Tujhe yaad karte hai
- > Mujhe shayar naa bana dena..
- InCompLetE wiTHoUt YOU.. (LOVE)
- > uske kuch nishaaN aaj bhi haiN..
- Ishq Sher Collection
- Teri Yaad – Collection of Sher
- >> Mere Ajeez sher/shyari..
- >> tukado meiN jina gawara nahi’N.. (Ghazal )
- > Kabhi aanshu-kabhi khooN..
- Har riste aaj haath se mere fisal gaye..
























September 26th, 2009 at 7:33 pm
Bahut khoob Omi ji!! Iske aage kya kahun … mujhe sochna padega!! Bahut achha likha hai