Bas us shaksh ki kami hai

This entry was posted by Tosha on Monday, 23 June, 2008 at

1. कुछ बेखरी यादें
कुछ टूटे सपने है
छोटा सा आसमान मेरा
और उमीदो की ज़मीन है
यूह तो सब कुछ है ज़िंदगी में
जिससे की मोहोब्बत दिल ने

बस उस शक्श की कमी है…!
*
kuch bekhri yaaden
kuch tute sapne hai
chota sa aasman mera
aur umeedo ki zamin hai
yuh to sab kuch hai zindgi mein
jisse ki mohobbat dil ne
bas us shaksh ki kami hai…!

2. शायरी का शोक न था
तेरे इश्क़ में दीवाने हो गये
शायर बनने का खुवब न था
तेरे हुस्न के कायल हो गये
*
Shayari ka shok na tha
Tere ishq mein deewane ho gaye
Shayar banne ka khuwab na tha
Tere husn ke kayal ho gaye

3. यह जाम भी आज नशा न दे सके
जो नशा महबूब के पिलाने में है
क्या करे हम अब शराबी हो चले
मोहब्बत का ऐसा असर चड़ा है
*
yeh jaam bhi aaj nasha na de sake
jo nasha mahboob ke pilane mein hai
kya kare ham ab sharabi ho chale
mohabbat ka aisa asar chada hai

4. दिल ने दस्ताख दी है, चाहा मुझे बस तेरी है
आजा साजन इन सुनी रातो में, यह दीवानी अब तेरी है
*
dil ne dastakh di hai, chaha mujhe bas teri hai
aaja sajan in suni rato mein, yeh deewani ab teri hai

5. सुहाना समा है ‘उत्तम’, यह वो आलम है बलम
प्यार की बेरूख़ी है, दीदार का है आलम
*
suhana sama hai ‘uttam’, yeh wo alam hai balam
pyaar ki berukhi hai, deedar ka hai alam

Related posts:

  1. Teri Ankhen
  2. Teri bewafai
  3. Collection of Sher on Ankhen
  4. Mohabbat mein sanam, main teri ho chali

No comments yet.

Leave a comment

TopOfBlogs
Poetry, Kavita, Indian Shayari, Desi Shayari, Dard Shayari, Ishq Shayari, English Shayari, Sher o Shayari, Dosti Shayari, Inspirational, philosophical, articles, Stories, Love, Romance, SMS, txt messages Entertainment Blogs