>> mohabbat ka paigaam likh raha huN..( Ghazal )

tujhse mohabbat ka paigaam likh raha huN
tere husN ko khat meiN salam likh raha huN
pee kar jeese madhosh haiN tamaam duniyaa
husn-e-mohabbat ka wo jaam likh raha huN
jiss teer-e-nazar se Qtal ho rahe Diwaane
us jadugiri ka aaj ek anjaam likh raha huN
tere ishQ meiN duba rehta hun shab-o-roz
teri yaadoen ki subah aur shaam likh raha huN
haiN tujhse kis kadar mohabbat jaan-e-wafa
yeh maiN mehfil meiN sareaam likh raha huN
Omi huN, mohabbat ka Qalaam likh raha huN
k meri yeh jindagi ab tere naam likh raha huN
Meri Apni Qalam se –> OMi
Related posts:
- > Ab anzaam-e-mohabbat kya hoga ? (Ghazal)
- > bayaN-e-husN uss QatiL kaa… (LOVE)
- >> IshQ ka chhaya Khumaar hai.. ( Ghazal )
- > uske kuch nishaaN aaj bhi haiN..
- > Kabhi aanshu-kabhi khooN..
- > Mujhe shayar naa bana dena..
- >> Aaj fir Dil hai Toota…. ( Sad_poem )
- ” Jiwan ” kya haiN ?? ( ek Kavita )
- > Teri aankhooN meiN…
- Collection of Sher on Ankhen
- 2 line Sher on Ishq
- Teri Yaad – Collection of Sher




Tosha says:
August 20th, 2009 at 8:04 pm
Bahut Kboob likha hai aap ne Omi Ji!!
vinod says:
August 21st, 2009 at 8:35 am
tujhse mohabbat ka paigaam likh raha huN
tere husN ko khat meiN salam likh raha huN
pee kar jeese madhosh haiN tamaam duniyaa
husn-e-mohabbat ka wo jaam likh raha huN
तुझसे मोहब्बत का पैगाम लिख रहा हूँ
तेरे हुस्न को खत मैं सलाम लिख रहा हूँ
पी कर जीसे मदहोश है तमाम दुनिया
हुस्न-ए-मोहब्बत का वो जाम लिख रहा हूँ
जिस तीर-ए-नज़र से क़्तल हो रहे दीवाने
उस जादूगिरीका आज एक अंजाम लिख रहा हूँ
तेरे इश्क़ मे डूबा रहता हूँ शब-ओ-रोज़
तेरी यादो की सुबह और शाम लिख रहा हूँ
है तुझसे किस कदर मोहब्बत जान-ए-वफ़ा
यह मैं महफ़िल में सरेआम लिख रहा हूँ
ओमी हूँ, मोहब्बत का क़लाम लिख रहा हूँ
क मेरी यह जिंदगी अब तेरे नाम लिख रहा हूँ
मेरी अपनी क़लम से –> ओमी
trisha says:
August 21st, 2009 at 8:48 am
its fantastic, though my urdu is not perfect (know just a little bit) but i love urdu shayari.
Kapil says:
August 21st, 2009 at 11:00 am
Tum aajmao kapil ko kitni hi bar kapil hr prisha k liye tayar h ,Jo kabhi kah na paya tum se kuch aaj kahta hu ki mujhe tum se pyaar h
OMi says:
August 28th, 2009 at 4:06 am
Thx to all of u guyss…
aap logo ne meri Qalam aur meri koshisho ko sharaha..iske liye main aap sab ka.. tahe dil se, sukriya ada karta hu..
yuh hi hausala badate rahe..
duwaoo k sath..
– OMI
August 28th, 2009 at 9:43 pm
Nice One Omi
!!