Teri Ankhen
महकती है तेरी आँखें
मदहोश करती है क्यो मुझे
सागर से तेरी आँखें
उंस जागती है मुझमे
तकती मुझे तेरी आँखें
इश्क़ का जाम पिलाए मुझे
तेरी आँखें यह तेरी आखें
दीवाना बनती है मुझे
*
mehakti hai teri aankhen
madhosh karti hai kyo mujhe
sagar se teri aankhen
uns jagati hai mujhme
takti mujhe teri aankhen
ishq ka jaam pilaye mujhe
teri aankhen yeh teri aakhen
deewana banati hai mujhe
***
आँखो में जो बात है सनम की
आँखों में जो अहसास है उनकी
एक नज़र जो देख ले वो तो
धरकने तेज़ हो जाए मेरी
*
वो प्यार में डूबी आँखे
वो तरसती ताकती आँखें
आँखों से सब कह डालना
आँखों ही आँखों में घायल करना
*
अदा कहूँ आँखों की
उनकी फ़ितरत में है यह
आँखों से मेरे होश उड़ाना
फिर मुस्कुराहट भरी आँखो से ताकना
***
aankho mein jo baat hai sanam ki
aankhon mein jo ahsas hai unki
ek nazar jo dekh le wo to
dharkane tez ho jaye meri
*
wo pyaar mein dubi aankhe
wo tarasti takti aankhen
aankhon se sab kah dalna
aankhon hi ankhon mein ghayal karna
*
ada kahun ankhon ki
unki fitrat mein hai yeh
ankhon se mere hosh udana
phir muskurahat bhri ankho se takna
Related posts:
- Collection of Sher on Ankhen
- Na Raha aab Raaz Koi
- Mohabbat mein sanam, main teri ho chali
- Sher on Judai-2
- I’m lost without you
- Teri Yaad – Collection of Sher
- > Mujhe shayar naa bana dena..
- Deewani hai yeh tarasti ankhen
- Collection of Sher on Yaad-Judai
- Teri bewafai
- > Kabhi aanshu-kabhi khooN..
- Nam ankhon se nahi





Deepesh Dhakad (DD) says:
May 17th, 2008 at 4:32 pm
nice ones !! i enjoyed again !!
Daman says:
May 18th, 2008 at 3:48 am
..
…
Kaatil bhi hain yeh teri aankhen
bekarar kar sataye mujhe
..
teri aankhen yeh teri aakhen
deewana banati hai mujhe
jay says:
June 7th, 2008 at 3:27 am
na gum hai, na rushwaie hai………….
har taraf bus tanhaie hai……..
dil mein aas kuch bhi nahi….
dard mera ,teri judaaie hai
Tosha says:
June 7th, 2008 at 9:14 am
Nice one Jay!!
akhil says:
June 25th, 2008 at 9:19 am
vvvGood